Wikipedia

खोज नतीजे

Mystery of Bermuda triangle in hindi - Bermuda triangle ka rahasya

 Mystery of Bermuda triangle in hindi -  Bermuda triangle ka rahasya



Mystery of Bermuda triangle in hindi -  Bermuda triangle ka rahasya:- Dosto kya aap Bermuda triangle ke baare me jante ho Bermuda triangle Florida Puerto Rico or Bermuda mahadip ke beech mojud hai issh trangle Ko devil trangle ke name se bhi Jana jata hai aaj taak Hazaro plane or ships uss jaghe paar Gayab hue hai aaj taak aapne sirf isske peeche ki Mystery Sunni hoggi Lekin Mee aaj aakhir vaha essa kyu hotta hai usske peeche ki puri scientific theory se Jabab Dene ki koshish krunga 

Dosto issh kahani ki shuruaat aaj se 528 saal pehele he ho gayi thi 1492  me  October ke mahine me Christopher Columbus jub uss raste se Gujar rahe tabhi usse kuch light chamakti hui dikhi or usske compass ne bhi vaha kaam krna band kr Dia tha Columbus ne aapni dairy me bhi ish ghatna ka ullakhe Kia tha





9 July 1945 Ko U.S Navy ka ek office jiska name Thomas tha vo Apne 10 crew member ke satth Raat Ko ek night flight training pr jata hai or kuch samme Baad he unka sampark base se kaat jata hai or aaj taak bhi uss viman ke bare me kuch pta nhi laag paya hai


Ye ghatna 1945 me hui thi or colombus ke saath 1492 me he ye ghatna shuru ho gayi thi or 1492 se leke 1945 ke Beech or bhi hadse vaha paar hue honge Lekin unka koi record aaj taak mojud nhi hai


1945 me he December mahine flight 19 ke  torpido bomber ka ek group jisme 15 crew member the unhonne Florida ke navel plane station se udan Bhari issme jittne bhi member the sub new pilot the to inke satth ke anubhabi pilot commander Ko bhi bheja Gaya inn planes ko pehele east me Jana tha or phir vaha se Bahamas ke kuch tapuo paar bum gira ke Ek sharp 90 degree ka turn leke 120 km ke aas pass Jana tha or phir vaha se vapas base paar aana tha or issme laghbhag Dhai se teen ghante ka samme lagta Isi liye sabhi vimano me 3 ghante ka fuel tha sub yojna ke mutabik chal Raha tha plans ne Bahamas me bumbari Kari or phir vaha se 90 degree ka turn Lia Lekin kuch dur Janne ke Baad sabhi members Ko todhi si ghabrahat hui to ye decision Lia Gaya ki Aab vaha se vo vapas challe jaenge to unke comander ne kaha ki aap aapna compass check kro or btao ki Abhi hum kaha hai Lekin koi bhi compass ya plan ke instruments sahi se kaam nhi kaar rahe the or unhonne ye decide Kia ki vo sabhi tapuo Ko dekh le ye PTA lgaenge ki vo Abhi kaha hai Lekin vaha aachanak se mosam kharab ho Gaya or aab to pilots Ko neeche ka hissa bhi dikhna band ho Gaya tha or dheere dheere unke plan ka fuel khatam ho Gaya or sabhi planes ek ek karke neeche gir Gaye or agle din Subha ke samme ek bachav or janch team Ko ek or plan ke saath bheja Gaya ish Baar jo plan Gaya tha vo panni ke upper bhi terene me shak sham tha Lekin udan ke 1 ghante Baad USS plan ka sampark bhi base se tut Gaya or aaj taak inn sabhi planes ke baare me kuch bhi nhi PTA laag paya or ek or baat jo yaha paar janni jarurui hai vo ye hai ki aeroplane me 30 pratisat hisaa essa hotta hai jo ki panni me terr skta hai Lekin unn planes ka to malva bhi nhi mill Raha tha usske Baad bhi yaha paar ghatna ka dor chalta Raha Aab sabke baare me agr yaha me btanne Laga to Syd ye article 4-5 pagr ka ho jaega lekin unn kuch sallo me vaha kittni ghatnaye hui me apko vo bta detta hu.


1947 me 1

1948 me 2

1949 me  1

1950 me 3 





Ese he saal 1965 taak ye ghatnaye hotti Rahi chahye Aasman me udd Raha plan ho yaha panni me terta jahaj jo bhi  Bermuda triangle ke Karib aata vo vapas baach ke nhi Jaa pata essi ghatnao ke Baad to aap bhi jante ho ki logo ke andr yahi khayal aata hai ki ye sub aliens ya to koi pargrahei takat kaar Rahi hai kaafi logo ka ye mana tha ki Bermuda triangle ke paas ek ayam hai yanni ki ek portal hai jo kisi dusre aayam me jakke khulta hai 

Lekin me aaj sirf science ke Aadhar paar he apko Jabab Dene vala hu akhir esa kyu hotta hai to Abhi kuch Sallo pehele he NASA ne ek photo publish Kari or duniya bhar ke logo Ko btaya ki Bermuda triangle me essi ghatnaye hexagonal cloud ke baje se hotta hai hexagonal cloud ke baare me samajna logo ke liye boht mushkil tha Lekin dhanyebaad kijiye NASA ke voyger or casini mission ka ye dono mission jub saturn ke pass se Gujar Raha tha tabhi usse saturn paar ese he hexagonal cloud dikhai diye hexagonal cloud ittne takatbar hotte hai ki ye aachaak se banhte hai or jaha ye bante hai hai vaha kuch he minute ke andr Hawa ka bhahav 273 km/h taak pohuch jatte hai 

Or same vahi hexagonal cloud NASA ne Bermuda triangle ke upper dekha tha or Isi bje se flight 19 jub udann bhar Raha tha tub mosam achanak kharab hua tha



Lekin Abhi bhi ek question ye tha ki akhir kyu sabhi compass vaha jakke kaam krna band kr dete the to iska Jabab bhi jld he mill Gaya tha Lekin pehele aap compass kese kaam krta hai ye Jaan lijiye aap chahye Prithvi paar Kahi bhi ho ek magnetic compass hamesha apko Prithvi ki north ki taraf he direction btayega kyuyi hamari Prithvi bhi ek magnate hai hamari Prithvi ka core bhi hamesha Prithvi ke saath ghumata reheta hai ish liye Prithvii bhi ek boht baadi magnetic properties show krta hai aap Prithvi paar Kahi bhi ho compass apko sahi direction bta degga Lekin akhir kyu Bermuda triangle me compass kaam nhi krta iske liye jub Bermuda triangle ke Jamin ki janch Kari gayi tub ye samne aaya ki Bermuda triangle ki andr Kahi kahi paar zammen magnetic properties show krti hai  or ese me compass confuse ho jata hai kyuki jammen me se ek se Jada magmatic feild nikalti hai to compass ye nhi Jaan pata ki usse kidhar ki taraf direction show krna hai or jub flight 19 ki last location ki janch Ko check kra Gaya tub vaha bhi ek se Jada magmatic feild thi ish liye unke compass bhi kaam nhi kr rahe the to Aab hum ye to Jaan chukke hai ki akhir kyu aeroplane or ships vaha bhatak jatte the or vaha mosam kyu kharab hotta tha iska ek he answer hai or vo hai hexagonal cloud ye cloud kittne khatarnaak hotte hai ye aap dekh chukke ho or compass kyu kaam nhi krta ye bhi hum Jaan chukke hai Lekin aabhi ek sawal or baaki hai or vo hai ki akhir kyu vaha koi bhi teher nhi pata tha or ships ho ya plan sbka malva bhi vaha se kaha Gayab ho jata tha to jub iska Jabab dhunda Gaya tub ye samne aaya ki essa earth ke andr ki gas ke bje se hotta hai hum ye jante he ki Bermuda triangle ittna gehera hai ki vaha neeche taak sunlight bhi nhi pohuchti hai or jub dharti ke andr se methane gas nikalti hai to vo panni ki density kaam kr detti hai jiski bje se ships or Insaan bhi vaha teher nhi pata or geherai me chala jata hai ish liye plane ka malva bhi  nhi mill pata Lekin aaj ke samme me satellite or science ittni advance ho gayi hai Aab Bermuda triangle world ke Sabse busiest ships ke route me ginna jata hai or akhri kaffi Sallo se vaha koi bhi hadsa nhi hua hai to yrr mana video todhi Baddi hai Lekin Mene apko aache se smjanne ki bhi kosish kri hai 


To dosto yahi thi aaj ki jankari aab apko kya lagta hai aapni raye hame comment box me jarur btana or isse jittna ho sakke uttna share krna 

Previous
Next Post »